Main bikhra howa hon jaga jaga mujh sai koe na tu sawal kar Meri kirchiyan hain chahar soo inn pai rakh tu paon sambhal kar
Koe zakham ore na dai mujhay main hazar tookron main hon para Meray jism-o-jaan k hijaab ko na apnay haathon paamal kar
Main rang-e-duniyan main thha bassa jab teri husti sai dooor thha Yun smait lee main nay zindagi teray aik gham ko paal kar
Meray hum nafas mujhay dai saza teray payar main hon mubtila Kochh teer dil per tu chala kochh ore seenay ko laal kar
Kabhi rasm-e-ulfat bhe tu nibah koe muskuraaiy tau muskura Kabhi gham zadon ke khabar bhe laiy ashaq aphni ankhon main daal kar
Meray paishwar meray hum sufer dooor ja na mujh ko chhor kar Main bhattuk raha hon idher udher mujhay ore tu na bay haal kar
Rehay charagar shaukat judda yunhi umer beeti khafa khafa Ye rabt-e-ulfat ka khail thha na dil ko apnay nidhaal kar |
0 comments:
Post a Comment